card-bg
album-art
logo

Darmiyaan: Echoes of Lost Love

@tanvithakur

11
1
Prompt
Intro - Soft Melody with Light Beats) (Boy humming with an emotional vibe, slow piano intro...) sab kuch badal sa gaya.. dooriyan badh gayi hain.” --- Verse 1 - (Boy’s Part - Soft Rap/Emotional Tone) Nazrein chhupa rahe hain, aur dil ro raha hai, Har ek khamoshi mein bhi mera dil sun raha hai. Is safar mein hum kahin kho se gaye hain, Duriyan ban gayi hain, dekhte..... dekhte.... . Duriyan kyun chune, agar chahe hum tujhe? Baatein adhuri si,ab khamoshi ban gayi. Galtiyan dono ki thi, maane kyun nahi, Naraz the hum dono, bataya kyun nahi. --- Chorus (Both Together - Echo Effect, Soulful Melody) (Boy & Girl together in overlapping vocals) "Duriyan ban gayi hain, hmare darmiyaan " "Rishta khas humara , ab sirf baaton mein hai..." -- Verse 2 - (Girl’s Part - Deep, Soulful Voice) Waqt beet sa gaya, lehze sakht ho gaye hain, Mohabbat ki raah pe hum khakh ho gaye. Jo waqt beet hi gaya hai, wapis ata nahi, Aur yeh ghustakhiyaan, ab bad se badtar ban chuki. Umeed chhoot si gayi hai, hum bikhar se gaye hain, Yaari toot si gayi hai, nafrat badh si rahi hai. Agar chaahu tera bura, khuda maaf na kare, Us Eid ke chaand ko kabhi daagh na lage. --- (Soft Build-Up, Emotional Strings) (Boy joins in with deep harmonies) "Mohabbat thi woh meri , ab khwab ban gayi hai..." "sab kuch badal sa gaya.. dooriyan badh gayi hain.” --- Verse 3 - (Boy’s Part - Painful Realization, Deeper Voice) Dekhte hi dekhte, ab ajnabi ban rahe ho, Baatein jo zehn ki thi, tum batate nahi ho. Haq hai tumhara, par kyun jatate nahi ho? Main bol na saka, par tum sun na saki ho.... Hum toh wahi hai , par kahani ruk c gyi hai Ek Phool tha gulab ka jo , ab murja sa gya hai Yeh duriyaan hamari ab , bimari ban chuki hain. --- Bridge (Girl’s Part - Sad Reflection, Soft Guitar & Piano) Waqt ab tham sa gya hai , andhera bn sa gya hai Rishta tha ehm jo , ab jo dikhawa ban chuka hai, Baatein jo labzo ki thi, ab zehn mai reh gyi hai. rishton mai khamoshi , uljan ban c gyi hai Ae Dil tu yeh ghum , tu Etna gehra na kar Jo likha hai Taqdeer mai , us se gila na tu kar Rishta badal chuka hai , dooriyan ban gayi hai Phile aaeyna tha , ab tere liye kaanch bn gye hai --- Final Chorus (Both Together - Powerful, Echoing Emotion) (Slow beat drop, building intensity, both voices blending in harmony.) nazron mein bas khwab, sirf tera hi rahega, Yaadon mein sath hai , phir kyun sath na milega? Milne pe ab jazbaat , kyun chupane padh rahe hai ? Lehze sakht ab , ghustakhiyaan ban rahi hai ? Inko sehte sehte hum , thode jazbaati bn chuke hai .. Sab badal sa gya hai , dooriyan ban gayi hain (Beat slows down, last lines delivered almost acapella...) Nazrein chhupa rahe hain, par dil ro raha hai, Har ek khamoshi mein, mera dil kuch keh raha hai. In raaston mein, hum kahin kho gaye, "Duriyan ban gayi hain... Darmiyaan hamare..." --- (Outro - Music Fades, Soft Violin & Rain Ambience, Echo of "Dekhte dekhte...")

More tracks by @tanvithakur