Prompt
Chandni raat ki chaadar mein dil mera aisa samaya
Kahi ghum sa gaya man kisi khwaab mein... Par kuchh nazar naa aya
Awaz toh thi, par thi thori adhuuri si
Jaana jaha chahta tha, samajh nhi aaya kesi yeh doori thi
Aankhon ke saamne khwabon ka ek khali sa jahan tha,
Har cheez ki kami thi, aur dil ne ek udaasi bhara sher kaha tha.
Ye bheega sama
Ye lehrati hawa
Jab aankhon ko bhayi
Jab gaalo pe takraayi
Uss khwaab ki fir aawaaz uthi thi,
Dil mein ek nayi ummeed juti thi
Wo awaz aayi aur chali gayi
Najaane kon gungunaya
Chandni raat ki chaadar mein dil mera aisa samaya
Kahi ghum sa gaya man kisi khwaab mein... Par kuchh nazar naa aya
**
Par kuchh nazar na aaya, jo tha mere saath
Uss khwaab ka ek rang tha, jo saath chalti raat.
*
Dil ke kone mein bas gehra ek raaz chhupa
Jo chandni ne likha tha, hawaaon ne suna
Manzar wohi tha, par ehsaas naye the
Jaise waqt ke saaye mein sapne saje the
Taaro se saja ye sama ithlaya
Chandni raat ki chaadar mein dil mera aisa samaya
Kahi ghum sa gaya man kisi khwaab mein... Par kuchh nazar naa aya
Wo dhun jo suni thi, ab saaf hone lagi
Uss awaaz ki adrishyata khone lagi
Ek chehra ban raha tha, dhundhla sa roop liye
Us chehre mein chhupa tha, saara sansaar, aur jalte hue anek, anup diye.
Najane kisne, in deepo ko banaya
Chandni raat ki chaadar mein dil mera aisa samaya
Kahi ghum sa gaya man kisi khwaab mein...
Iss baar ankhon ne kuchh samjhaya
Ye bheega sama
Ye lehrati hawa
Iss baar, sirf chhu ke na reh gayi
Par kuch gazab kah gayi
Chand ke tukde jaise khila wo roshan pal
Mujhse kehne laga, khud se tu, na ho alag
Aasmaan ke sitare bhi ab saath mera nibhaane lage
Meri mohabbat ke geet, ye taare bhi ab mere sang gaane lage
Raat kab beet gayi, na hosh, na khabar thi
Kon kare vishwaas bina shabdon ka geet taaro ne puri raat gaya
Chandni raat ki chaadar mein dil mera aisa samaya
Kahi ghum sa gaya man kisi khwaab mein...
Kahaani ka arth ab jaakar samajh mein aaya
***
Chandni raat ki chaadar mein dil mera phir kho gaya
Is baar ek khwaab nahi, ek haqeeqat ban gaya.